.﷽ - الصــلوة والسلام عليك يارسول الله ﷺ
》》》》》Islamic Quiz 2017《《《《《
Yahan kuch sawal jawab likhe jaa rahe hain.Jinke jawab islamic book se liye gye hain.
Kuch bhi sharai ghalti nazar aaye to islaah farmayen.
☆☆☆ Q-1.......Allah ta'ala ke liye har jagah hazir wa maujood hai kehna kaisa hai?
A......Kehna mana hai. B.....Keh sakte hain.
Answer........ Allah ta'ala ke liye har jagah hazir wa maujood hai Kehna mana hai.
Allah ta'ala jagah se paak hai,yeh lafz bahut burey ma'aine rakhta hai,isse bachna lazim hai.
《《《 fatawa razwiyah jild 6 page 132 》》》
☆☆☆ Q-2........Allah ta'ala ko Allah miyan kehna kaisa hai?
A.....Kehna mana hai. B.....Keh sakte hain
Answer........ ALLAH ta'ala ko ALLAH MIYAN kehna man'aa Hai.
Lafz "MIYAN" Ke Urdu me 3 ma'ana (Meanings) hain....
1.Maalik
2. Shohar
3. Zina ka dalaal```
Inme baad waale 2 aise ma'aane hain jinse Allah ki shaan paak aur bari hai.
Aur pehle wale ma'aane sahi ho sakte hain .To jab lafz 2 bure ma'aana aur 1 achche ma'aane mein shareek hua to Uska Allah ke liye bola jana ghalat hoga.
》》》Al Malfooz Hissa 1 page 116 》》》
☆☆☆ Q-3............Muhammad Nabi,Ahmad Nabi,Nabi Ahmad,naam rakhna kaisa hai?
A......Rakh sakte hain B.....Nahi rakh sakte
Answer..........Haram hai ki inme haqeeqat mein nubuwwat ka daawa agar0che nahi paaya jaata magar surat aur lafzon ke aitbaar se daawa zaroor hai.aur yeh guman karna ki naamon mein pehle ma'ana muraad nahi hotey na shariat mein aisa kahin hai aur na aam bolchaal ki zubaan mein.Isi tarah yaseen wa t'aaha naam rakhna man'aa hain.Yunhi Gaffruddin waghairah naam bhi sakht ghalat wa bure hain.
》》》Fatawa Razwiyah jild 9 page 201 202《《《
☆☆☆ Q-4...........Qur'an mein kitne Nabiyon ke naam likhe hain?
A. 26 B. 25 C.20 D.sahi jawab ka intezar
Answer ......Qur'an mein 26 Nabiyon ke naam likhe hain.
1.Hazrat Aadamعليه السلام
2.Hazrat Noohعليه السلام
3.Hazrat Hoodعليه السلام
4.Hazrat Salehعليه السلام
5.Hazrat Idrees عليه السلام
6.Hazrat loot عليه السلام
7.Hazrat Ibraheem عليه السلام
8.Hazrat Israeel عليه السلام
9.Hazrat Ishaaq عليه السلام
10.Hazrat yaqoob عليه السلام
11.Hazrat Yusuf عليه السلام
12.Hazrat zulkifl عليه السلام
13.Hazrat shooaib عليه السلام
14.Hazrat Moosa عليه السلام
15.Hazrat Haroon عليه السلام
16.Hazrat Alyas'a عليه السلام
17.Hazrat Ilyaas عليه السلام
18.Hazrat Yunus عليه السلام
19.Hazrat Uzair عليه السلام
20Hazrat Daood عليه السلام
21.Hazrat Sulaimaan عليه السلام
22.Hazrat Ayyub عليه السلام
23.Hazrat Zakariya عليه السلام
24.Hazrat Yaahya عليه السلام
25.Hazrat Eesa عليه السلام
26.Hazrat Muhammad Sallallahu Alyhi Wasallam.
◆◆◆ Aur 3 ka bayan ishaare ke tareeqe par hua hai.
1.Hazrat shamweel عليه السلام
2.Hazrat yush'a عليه السلام
3.Hazrat Khizr عليه السلام
【Tafseer e Ahmadi page no 5 ,fatawa Razwiyah jild 6 page 61】
☆☆☆ Q-5...........Insaan ne murde ko dafnaana kis se seekha?
A). farishton se B). Jinnaat se
C). kauwwe se D).sahi jawab ka intezar
Answer........Insaan ne murde ko dafbana Kauwwe se seekha.
◇◇◇ Hazrat Adam Alyhissalam ke bete Habeel or Qabeel they...
◇◇◇ Qabeel ne Habeel ko Hasad ke chalte Qatal kar diya tha.Ye Zameen per pehla Qatal tha.Qatal ke baad Qabeel nhi jaanta tha ke laash ka kya krey.
◇◇◇ Us waqt tak koi insaan mara nhi tha,ek muddat tak laash ko ladhe fira.
◇◇◇ Riwayat hai ke 2 kauwwe aapas me lade jis mein se ek ne doosre ko maar daala phir zindaa kauwwe ne apni chonch se zameen kured kar ek gaddha kiya usme marey hue kauwwe ko daalkar mitti se daba diya.Ye dekhkar Qabeel ko maloom hua ke laash ko dafnana chahiye.Chunache usne bhi Zameen khodekar dafan kar diya..
[ kanjul iman tafseer surah Al ma'aida Rukuh 5]
☆☆☆ Q-6...........Wo konsi surah hai jiske Darmiyan mein bhi Bismillah sharif hai?
A. Surah An Naml B. Surah Nahal C. Surah Al Ma'aida D. Sahi jawab ka intezar
Answer..........Surah An Naml jiske shuru mein bhi Bismillah Shareef hai or darmiyan mein bhi.
◆◆◆ Iss surah ki Ayat number 30 mein Bismillah shareef hai.
Surah An Naml Quran ki 27th surah hai jo parah 19 - 20 mein hai.
☆☆☆ Q-7..........Hajj me kitne farz hain?
A. 8 B. 6 C. 5 D. Sahi jawab ka intezar
Answer........Hajj me 7 farz hain.
1). Ehraam
2). Wukufe arfa
3). Tawaf e zyarat
4).Niyyat
5). Tarteeb
6).Waqt
7).Makaan
☆☆☆ Q-8.........Jab HAZRAT AADAM ALYHISSALAAM jannat mein they to konsi zubaan(language) boltey they?
A). ARBI B). FARSI C). SURYANI D.sahi jawab ka intezar
Answer.........Hazrat Adam Alyhissalam jab janant mein they tab Arbi boltey they .
◇◇◇ jab duniya mein tashreef laaye Tab tk arbi zabaan salab kar li gyi.
Taubaa qubool hone se pehle aap siryaaNi zaban mein guftugu farmaya kartey they.
taubaa qubool hone ke baad phir Arbi zabaan jannat nishan ata hui.
[ tafseer Naimi jild 1 safah no 340]
☆☆☆ Q-9......Kya Biwi Shohar Ko Zakaat Dey Sakti Hai ?
A).Dey Sakti Hai B).Nahi Dey Sakti C).Sahi Jawab Ka Intezar
Answer........Aurat shauhar ko aur shauhar Aurat ko zakat nahi de Sakta....
◇◇◇ Agarche talaaq e baain balke teen Talak De Chuka Ho Jab tak iddat Mein Hai Or iddat Puri ho gayi ho toh AB de sakta hai....
【durre mukhtaar,
raddul muhtaar,
Bahar e shariat hissa 5 page 67】
☆☆☆ Q-10................ Kya Ambiyae kiraam bhi kisi ki ummat me hain?
A. Haan B. Nahi
C. Sahi jawab ka intezar
Answer.......Haan taman Nabi aur Rasool apne zamano(n) mein bhi aur ab bhi huzur ke ummati hain aur Huzur Sallallahu Alyhi wasallam nabiyon ke nabi hain.
[Mawahib ladduniya jild 2 page 52 Zarkaani jild 6 page 164
Fatawa Razwiyah jild 9 page 12]
☆☆☆ Q-11.......... Bani israeil ke sabse pehle Nabi konse hain.
A.Hazrat Ibraheem عليه السلام B.Hazrat Yusuf عليه السلام
C.Hazrat Eesa عليه السلام D. Sahi jawab ka intezar
Answer......Bani israeil ke sabse pehle Nabi Hazrat Yusuf عليه السلام hain
Hazrat Yaqoob عليه السلام ki aulaad ko Bani israeil kehte hain.
[Sawi jild 1 page 139 Tafseer azizi surah bakar 176]
☆☆☆ Q-.12......Bani israeil ke sabse aakhri Nabi konse hain?
A.Hazrat Ibraheem عليه السلام B.Hazrat Yusuf عليه السلام
C.Hazrat Eesa عليه السلام D. Sahi jawab ka intezar
Answer........Bani israeil ke sabse aakhri Nabi Hazrat Eesa عليه السلام hain.
☆☆☆ Q-13........Durood shareef ki jagah SLAM ya SAW ya AM ya ص ka sira likhna kaisa hai?
A.Likh sakte hain (Likhne me koi harz nahi) B.likhna Najaiz wa haram hai
C.Sahi jawab ka intezar
Answer........Durood shareef ki jagah "SLAM"ya "SAW" ya "AM" ya "ص" ka sira likhna Najaiz wa haram hai.
Imam Jalaaluddin sayuti rahmatulaah alyhi farmate hain.....
"" pehla woh shakhs jisne durood shareef ka aisa ikhtisar kiya uska haath kaata gya.
Rasoole Khudaﷺ farmate hain ki jo shakhs mera naam likhkar uss ke aagey ﷺ likh deta hai to jab tak wo tehreer baaqi rahegi farishte uss ke liye maghfirat talab karte rahenge.
[Bahare Shariat Hissa 2 page 42,☆Fatawa africa page 45,☆Kya aap jaante hain sayyade ale Rasool Hasnain Miyaan barkaati safaah 14]
☆☆☆ Q-14......Aala Hazrat رضي الله عنه ki wiladat kab hui?
A.10 shawwal B.10 Safar
C.10 Muharramul Haraam D. Sahi jawab ka intezar
Answer.........Aala Hazrat رضي الله عنه ki wiladat 10 shawwal 1272 hijri bamutabiq 14 june 1856. Baroz e shumba zohar ke waqt shehair e bareilly muhalla jasooli mein huwi.
☆☆☆ Q-15...........Aala Hazrat رضي الله عنه ka paidaishi naam kya tha?
A. Ahmad B. Muhammad
C. Al Mukhtar D. Sahi jawab ka intezar
Answer.......Aapka paidaishi naam Muhammad aur tareekhi naam Al-Mukhtar hai.
6 baras ki hi umr mein aapne maloom kar liya tha ke Baghdad Shareef kis janib hai, phir uss waqt se damey aakhir tak Baghdad Shareef ki jaanib paauñ (leg) nahi phailaya.
☆☆☆ Q- 16........Aala Hazrat رضي الله عنه ka ism "Ahmed Raza" kisne rakha?
A. Jadde Amjad Maulana Raza Ali ne B. Huzoor Sayyad Aale Rasool Ahmadi رضي الله عنه
C. Aala Hazrat رضي الله عنه ke walid ne D. Sahi jawab ka intezar
Answer.......Jadde Amjad Maulana Raza Ali ne aapka ism "Ahmed Raza" rakha.
6 saal ki umr mein maah e rabi ul awwal shareef ki taqreeb mein mimbar par raunaq afroz ho kar bahot bade maj'me ki maujoodgi mein zikre Meelad Shareef padha.
hazrat idrees ne kitni umar pai.?
ReplyDeletehazrat idrees ka zikar quran pak ki kitni surto me aaya.?
ReplyDeletequran pak me kul kitne anbiya ka zikr hai.?
ReplyDelete26
DeleteAllah tala ne anbiya akram pr kitne kitabe nazil ki.?
ReplyDelete4
Deletehuzur ke wo konse shezade hai jo madina me peda huwe .?
ReplyDeleteQuran ki konsi surat puri Duwa hai.?
ReplyDeleteAayat ul kursi
Deletekis Alhami kitab me huzur ka naam farkhayat darj hai.?
ReplyDeleteKya AALE RASOOL PER JAKAT dena FARJ hai ?
ReplyDeletePyare Rasul sal-lal-lahu Alai hi wa Sallam ke kis jadde amjad ne salaana do tijarti qafilo ki bunyad rakhi
ReplyDelete1. Jadde Abde munaaf
2. Jadde Mozar
3. Jadde hashim
Hazrat eesa or hazrat Mohammad s.w.w.a ke darmiyan kitne saal ka zamana he
ReplyDeleteWO KONSA AKELA SHAKHS HAI JISKA NAAM QURAN E KAREEM ME KUNIYAT KE SATH JIKAR KIYA GAYA ? 💦
ReplyDeleteAsalam o alikum
ReplyDeleteVo konse mohddis h jinhone hr rat m ap sllahualIhivsallm ki ziyart ki h
ReplyDeleteThis is actually the kind of information I have been trying to find. Thank you for writing this information. Q&A
ReplyDelete.........
ReplyDeleteસજદહ {સજદા એ તીલાવત} કી આયત સબ સે પેહલે કોન સી સુરત મે નાઝીલ હુઈ ?*
ReplyDelete